nakhl-e-saharanpuri wrote::flv
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم صحابہ کرام رضی اللہ عنھم میں سےکس سے
سب سے زیادہ محبت کرتے تھے ؟
kuch idea nahi ho reha sahaba kiram rza ki zindagiyon per nazer daali jaiy tuo nabi pak saw ka her suhabi hi muhtarum aur qabil e ezzat nazer ata hai jesay hazrat ABUBAKAR rza hain jo ghaar e yaar kehlaaty hain aur nabi pak saw ki khidmat main poory ghar ka saman nazer ker diya aur un ki pyari beti hazrat aeysha rza un ki mehboob bv thin,,,jesay hazrat Umar rza ko lain tuo nabi pak ki muhabbat ka yeh alum thah k fermaty k jannat main ,main aur Umar iss tarah sath sath hon gay jesay eik haath ki 2 ungliyaan aur apni ungliyon say eshara ker k dikhaya,,hazrat Ali rza say muhabbat ka yeh alum thah k hijrat e madina k waqt un ko apny bister per jagah dii ,, hazrat usman say muhabbat ka yeh alum thah k apni 2 bitiyan un k nikah main den aur fermaya kay usman rza ki haya say farishty bhi haya kerty hain,,phir hazrat zaid bin haris rza hain jo munh boly betay ka sharaf paaiy hooiy thay ,, hazrat anas rza hain jinhon nay 10 baras tak app ki khidmat ka sharaf payaa ,,hazrat bilal habshi hain jin ko azan deny ka sharaf mila ,, ab in main kon un k muhabbat ka zayeda huqdar reha samjh nahi aa rahi ,,per herait iss baat per hai k kisi main itni jurat e guftaar nahi k iss suwal ko agay berhataa ,, chalin hum nay qadum uthaya shaied koi aur bhi himat ker lay ,,ghalat batain gay tuo sahi ka saamna kerain gay ,, per koi iss kar zar e khair main qadum tuo rakhy ,
